शुक्रवार, 20 सितंबर 2013

intervening thoughts

Ek daur tha, ek safar tha .. kuch khala tha kuch kaha tha 
ant ki aur na badha tha , mai bhi wahi tha aur ye sama kahi aur tha
lekin na jane kis surkh aakh se, ek moti yu chalka tha 
dekhne me nahi, mehsus karne me kahi tha 

sathi bhi mai tha aur safar bhi mai tha 
gagan me uda bhi nahi lekin pani pe chala sirf mai tha
hatho ko darkinar kiya maine par kandho pe roya mai hi tha
jakar aaya to pata chala, us gali k aage ka mod bhi mai tha

rundha hua gala, hatheli se saja, 
maut bhi mai tha, jeevan bhi mai hi tha
khaikhabar jo puchi thi sabse, samachaar bas nahi tha
jis ko peeche chod aaya, us gharonde ka tinka mai hi tha

samay k pahiye ka chakra ye ajeeb kaisa 
kinara b mai bana jal tarang bhi mai hi hua
kadamo ke nishaano pe rengta 
dikh raha mai bas chalta hua, mai bas chalta hua 

सोमवार, 16 सितंबर 2013

Us aankh me

Aaj bhi hai dhundhle aansuo se palke,
Dekh ke lagta hai jaise, sau baar hai barse,
Naina jo neele the ho gaye hai ab wo surkh,
Mausam guzre, guzre pal hazar, par Kya pata kyu ye har baar hi tarse